sab hain masruf kisi ko yahan fursat nahin hai sab zarurat hai magar kar-e-zarurat nahin hai tujh se dushnam-taraazon ki himayat ke liye ab mere pas koi harf-e-suhulat nahin hai roz ek hashr bapa karte the jis ki khatir hum ye sunte hain ki wo fitna-e-qamat nahin hai aks-e-ram-sazi-e-wahshat se use hai nisbat ab to aainon ko pahli si wo hairat nahin hai kis liye tark-e-talluq pe nadamat hai tujhe ai meri jaan mujhe koi shikayat nahin hai raqs-e-ashob ajab dekha hai galiyon mein teri ai mere shahr yahan koi salamat nahin hai hukm hai khana-e-wahshat ke makinon se kaho ab yahan sans bhi lene ki ijazat nahin hai khun-baha mangne walon ko nadamat hai bahut mere qatil ko magar koi nadamat nahin hai ramz-o-asrar se khali nahin hote mere sher ye alag baat ki 'shahid' ko wo shohrat nahin hai