sans ukhdi hui sukhe hue lab kuchh bhi nahin pyas ka nam hi raushan hai bas ab kuchh bhi nahin subh tak phir bhi nahin bujhte hain aankhon ke charagh jaanta hun ki pas-e-parda-e-shab kuchh bhi nahin sar-e-ehsas pe dastar-e-fazilat na rahi bas ki ab silsila-e-nam-o-nasab kuchh bhi nahin gul-e-imkan na sarsabz koi barg-e-umid yani ab ke to sar-e-shakh-e-talab kuchh bhi nahin be-talluq rahe barson to koi baat bhi thi in dinon tum se na milne ka sabab kuchh bhi nahin waza-dari hi bikharne nahin deti 'akhtar' warna hum tute hue logon mein ab kuchh bhi nahin