yahin kahin pe kabhi shola-kar main bhi tha shab-e-siyah mein ek chashm-e-mar main bhi tha bahut se log the suqraat-kar o isa-dam usi hujum mein ek be-shumar main bhi tha ye chand tare mere gird raqs karte the likha hua hai zamin ka madar main bhi tha suna hai zinda hun hirs-o-hawas ka banda hun hazar pahle mohabbat-guzar main bhi tha jo mere ashk the barg-e-khizan ki tarh gire baras ke khul gaya abr-e-bahaar main bhi tha wo bel bute banae ki dekhte rahe log ye hath kat liye mina-kar main bhi tha mujhe samajhne ki koshish na ki mohabbat ne ye aur baat zara pechdar main bhi tha supurdagi mein na dekhi thi tamkanat aisi ye ranj hai ki ana ka shikar main bhi tha mujhe aziz tha har dubta hua manzar gharaz ki ek zawal-ashkar main bhi tha mujhe gunah mein apna suragh milta hai wagarna parsa-o-din-dar main bhi tha barae dars ab atfal-e-shahr aate hain haram-kar-e-ghina-o-qimar main bhi tha main kya bhala tha ye duniya agar kamini thi dar-e-kamingi pa chobdar main bhi tha wo aasmani bala laut kar nahin aai isi zamin par ummid-war main bhi tha