sab kuchh na kahin sog manane mein chala jae ji mein hai kisi aur zamane mein chala jae main jis ke tilismat se bahar nikal aaya ek roz usi aaina-khane mein chala jae jo mere liye aaj sadaqat ki tarah hai wo khwab na gum ho ke fasane mein chala jae sahma hua aansu ki sisakta hai palak par ab tut ke daman ke khazane mein chala jae ek umr ke baad aaya hai jine ka saliqa dukh hoga agar jaan bachane mein chala jae