sham-e-gham kuchh us nigah-e-naz ki baaten karo be-khudi badhti chali hai raaz ki baaten karo ye sukut-e-naz ye dil ki ragon ka tutna khamushi mein kuchh shikast-e-saz ki baaten karo nikhat-e-zulf-e-pareshan dastan-e-sham-e-gham subh hone tak isi andaz ki baaten karo har rag-e-dil wajd mein aati rahe dukhti rahe yunhi us ke ja-o-beja naz ki baaten karo jau adam ki jaan hai jo hai payam-e-zindagi us sukut-e-raaz us aawaz ki baaten karo ishq ruswa ho chala be-kaif sa bezar sa aaj us ki nargas-e-ghammaz ki baaten karo nam bhi lena hai jis ka ek jahan-e-rang-o-bu dosto us nau-bahaar-e-naz ki baaten karo kis liye uzr-e-taghaful kis liye ilzam-e-ishq aaj charkh-e-tafraqa-parwaz ki baaten karo kuchh qafas ki tiliyon se chhan raha hai nur sa kuchh faza kuchh hasrat-e-parwaz ki baaten karo jo hayat-e-jawidan hai jo hai marg-e-na-gahan aaj kuchh us naz us andaz ki baaten karo ishq-e-be-parwa bhi ab kuchh na-shakeba ho chala shokhi-e-husn-e-karishma-saz ki baaten karo jis ki furqat ne palat di ishq ki kaya 'firaq' aaj us isa-nafas dam-saz ki baaten karo