thokaren khaiye patthar bhi uthate chaliye aane walon ke liye rah banate chaliye apna jo farz hai wo farz nibhate chaliye gham ho jis ka bhi use apna banate chaliye kal to aaega magar aaj na aaega kabhi khwab-e-ghaflat mein jo hain un ko jagate chaliye azm hai dil mein to manzil bhi koi dur nahin samne aae jo diwar giraate chaliye nafraten fasle kuchh aur badha deti hain git kuchh pyar ke in rahon mein gate chaliye rah-e-dushwar hai be-saya shajar hain sare dhup hai sar pe qadam tez badhate chaliye kaam ye ahl-e-jahan ka hai sunen ya na sunen apna paigham zamane ko sunate chaliye dil mein soe hue naghmon ko jagana hai agar meri aawaz mein aawaz milate chaliye raste jitne hain sab jate hain manzil ki taraf shart-e-manzil hai magar jhumte gate chaliye kuchh mile ya na mile apni wafaon ka sila daman-e-rasm-e-wafa apna badhate chaliye yun hi shayad dil-e-viran mein bahaar aa jae zakhm jitne milen sine pe sajate chaliye jab talak hath na aa jae kisi ka daman dhajjiyan apne gireban ki udate chaliye shauq se likhiye fasana magar ek shart ke sath is fasane se mera nam mitate chaliye aaj ke daur mein 'naushad' yahi behtar hai is bure daur se daman ko bachate chaliye