wada kabhi sachcha koi karta hi nahin hai andesha-e-farda to guzarta hi nahin hai daman ki shikan dur se leti hai balaen bal yar ke abru ka utarta hi nahin hai dil se to mere sine ke phir dagh hi achchhe kam-bakht ubhaare se ubharta hi nahin hai sab bhul gae us ko tere ahd-e-sitam mein ab shikwa-e-gardun koi karta hi nahin hai jo jaante hain badh ke nasheman se qafas ko par aison ke sayyaad katarta hi nahin hai kya chiz hai ai baada-kasho mausam-e-gul bhi is daur mein tauba koi karta hi nahin hai apne sitam-o-jaur use lakh sikhao darban se tumhaare koi darta hi nahin hai yun pisne ko dil lakh pisen barg-e-hina par wo hath kabhi khun mein bharta hi nahin hai kya aa gai us mein dil-e-betab ki uljhan gesu hai kisi ka ki sanwarta hi nahin hai samjha hai asar koi bala aah ko meri darta hai wo gardun se utarta hi nahin hai jab tak koi aae na lab-e-baam nikhar kar rang-e-shafaq-e-sham nikharta hi nahin hai diwana 'riyaz' auron se kya baat karega mashuqon se to baat wo karta hi nahin hai