titliyon ka rang ho ya jhumte baadal ka rang hum ne har ek rang ko jaana tere aanchal ka rang teri aankhon ki chamak hai ya sitaron ki ziya raat ka hai ghup andhera ya tere kajal ka rang dhadkanon ke tal par wo haal apne dil ka hai jaise gori ke thirakte panw mein pael ka rang phenkna tum soch kar lafzon ka ye kadwa gulal phail jata hai kabhi sadiyon pe bhi ek pal ka rang aah ye rangin mausam khun ki barsat ka chha raha hai aql par jazbaat ki halchal ka rang ab to shabnam ka har ek moti hai kankar ki tarah han usi gulshan pe chhaya tha kabhi makhmal ka rang phir rahe hain log hathon mein liye khanjar khule kuche kuche mein ab aata hai nazar maqtal ka rang chaar jaanib jis ki ranai ke charche hain 'qatil' jaane kab dekhenge hum us aane wali kal ka rang