sab naqsh is falak ke nagine pe aa rahe

sab naqsh is falak ke nagine pe aa rahe
kar-e-jahan tamam kamine pe aa rahe

aage jo dilbari thi so aashiq-kushi hai ab
jo kaam mehr ke the so kine pe aa rahe

ghusse mein josh mara jo dariya-e-husn ne
jalwe nazakaton ke pasine pe aa rahe

darta hai dil ki is pe taraqqi na ho kahin
milne ke waqt ab to mahine pe aa rahe

tu kuchh na bole aur maza ho ki mera hath
kandhe se tere masti mein sine pe aa rahe

dariya-e-dil ki mauj se khatra hai chashm ko
mat ye kahin uchhal ke safine pe aa rahe

puli tale guzar gai lakhon ki umr ab
gumbad mein koi kaun se jine pe aa rahe

jin ka dimagh arsh pe tha ab hain paemal
kothe pe jo ki rahte the zine pe aa rahe

ganj-e-nihan se dil ke to waqif hue na hum
kya faeda jo zar ke dafine pe aa rahe

do din ke chao-chuz 'hasan' ke wo ho chuke
phir rafta rafta apne qarine pe aa rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close