wo khush-libas bhi khush-dil bhi khush-ada bhi hai magar wo ek hai kyun us se ye gila bhi hai hamesha mandir-o-masjid mein wo nahin rahta suna hai bachchon mein chhup kar wo khelta bhi hai na jaane ek mein us jaise aur kitne hain wo jitna pas hai utna hi wo juda bhi hai wahi amir jo rozi-rasan hai aalam ka faqir ban ke kabhi bhik mangta bhi hai akela hota to kuchh aur faisla hota meri shikast mein shamil meri dua bhi hai