salib o dar ke qisse raqam hote hi rahte hain qalam ki jumbihson par sar qalam hote hi rahte hain ye shakh-e-gul hai aain-e-numu se aap waqif hain samajhti hai ki mausam ke sitam hote hi rahte hain kabhi teri kabhi dast-e-junun ki baat chalti hai ye afsane to zulf-e-kham-ba-kham hote hi rahte hain tawajjoh un ki ab ai sakinan-e-shahr tum par hai hum aison par bahut un ke karam hote hi rahte hain tere band-e-qaba se rishta-e-anfas-e-dauran tak kuchh uqde nakhunon ko bhi baham hote hi rahte hain hujum-e-lala-o-nasrin ho ya lab-ha-e-shirin hon meri mauj-e-nafas se taza-dam hote hi rahte hain mera chaak-e-gireban chaak-e-dil se milne wala hai magar ye hadse bhi besh o kam hote hi rahte hain