mustaqil mahrumiyon par bhi to dil mana nahin lakh samjhaya ki is mahfil mein ab jaana nahin khud-farebi hi sahi kya kijiye dil ka ilaj tu nazar phere to hum samjhen ki pahchana nahin ek duniya muntazir hai aur teri bazm mein is tarah baithe hain hum jaise kahin jaana nahin ji mein jo aati hai kar guzro kahin aisa na ho kal pasheman hon ki kyun dil ka kaha mana nahin zindagi par is se badh kar tanz kya hoga 'faraaz' us ka ye kahna ki tu shaer hai diwana nahin