sab the manzur-e-nazar ek main ruswa tha faqat

sab the manzur-e-nazar ek main ruswa tha faqat
the tamashai sabhi main hi tamasha tha faqat

samne hadd-e-nazar tak mere sahra tha faqat
aur ye nazzara hi jine ka sahaara tha faqat

us ki daulat ki tamanna meri dushman nikli
mere qabze mein mohabbat ka khazana tha faqat

aisa mahsus hua jaise ki tu aaya tha
dar-haqiqat tere sae ka bhi saya tha faqat

main ye samjha tha hain aflak meri mutthi mein
qabr boli ki tu ek khak ka putla tha faqat

rutba saqi ka tha tere hi to dam se 'jawed'
ek tu hi to bhari bazm mein pyasa tha faqat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close