wo surat jaani pahunchani nahin hai magar khushbu to anjaani nahin hai chalo mana zara si baat thi wo ye khamoshi to be-mani nahin hai hum aa nikle kahan dasht-e-talab mein yahan to dur tak pani nahin hai yahan har shai har ek rishta hai mitti yahan kuchh bhi to la-fani nahin hai kahan ab wo shajar wo ham-safar hain safar mein koi aasani nahin hai