us ke harim-e-naz mein tera guzar kahan ai dil ye sach bata ki raha raat bhar kahan manzil se dur gum-shuda-e-karwan hun main aaen meri madad ke liye hain khizar kahan uzlat-nashin-e-khalwat-o-mast-e-khayal ban phirta rahega khak bana dar-ba-dar kahan majbur-e-ishq hun ki uthata hun apne hath go jaanta hun main ki dua mein asar kahan ek dastan-e-shauq mere dil mein hai abhi baaten hui hain yar se ji khol kar kahan wo mere ghar pe aaen na aaen bula hi len 'ejaz' mera aisa muqaddar magar kahan