suna hai jab se khuda ka kalam rahat hai har ek dars ka mauzua-e-am rahat hai kuduraton se kashaish mila nahin karti jahan bhar ko hamara payam rahat hai main ikhtiyar ke hote hue kahan khush tha hua hun jab se kisi ka ghulam rahat hai main dasht-o-shahar-o-gulistan mein be-sukun raha kiya hai zat mein jab se qayam rahat hai sata sata ke pareshan ho gaya hai adu kai dinon se hamein subh-o-sham rahat hai ye aa rahi hai meri samt rokna na use subuk-rawi se jo mahw-e-khiram rahat hai dukhe dilon se lagawat se baat kar lena sukun-e-dil ke liye ehtiram rahat hai ye qasr-e-lutf banaya hai 'abdi' ne magar mohabbaton mein faqat inhidam rahat hai