saba mein mast-khirami gulon mein bu na rahe tera khayal agar dil ke ru-ba-ru na rahe tere baghair har ek aarzu adhuri hai jo tu mile to mujhe koi aarzu na rahe hai justuju mein teri ek jahan ka dard-o-nishat to kya ajab ki koi aur justuju na rahe teri talab se ibarat hai soz-o-hayat ho sard aatish-e-hasti jo dil mein tu na rahe tu zauq-e-kam-talabi hai to aarzu ka shabab hai yun ki tu rahe aur koi justuju na rahe kitab-e-umr ka har bab be-maza ho jae jo dard main na rahun aur dagh tu na rahe khuda kare na wo uftad aa pade hum par ki jaan-o-dil rahen aur teri aarzu na rahe tere khayal ki mai dil mein yun utari hai kabhi sharab se khali mera subu na rahe wo dasht-e-dard sahi tum se wasta to rahe rahe ye saya-e-gesu-e-mushk-bu na rahe karo hamare hi daghon se raushni tum bhi bada hai dard ka rishta dui ki bu na rahe nahin qarar ki lazzat se aashna ye wajud wo khak meri nahin hai jo ku-ba-ku na rahe is iltihab mein kaise ghazal-sara ho koi ki saz-e-dil na rahe khu-e-naghma-ju na rahe safar tawil hai is umr-e-shoala-saman ka wo kya kare jise jine ki aarzu na rahe