sada hai is aah-o-chashm-e-tar se falak pe bijli zamin pe baran nikal ke dekho tum apne ghar se falak pe bijli zamin pe baran wo shola-ru hai sawar-e-tausan aur us ka tausan araq-fishan hai ajab hai ek sair dopahar se falak pe bijli zamin pe baran hanse hai kothe pe mera yusuf main zer-e-diwar ro raha hun azizo dekho meri nazar se falak pe bijli zamin pe baran patang kyunkar na howe hairan ki shama shab ko dikha rahi hai ba-chashm-e-giryan o taj-e-zar se falak pe bijli zamin pe baran naha ke afshan chuno jabin par nichodo baalon ko baad is ke dikhao aashiq ko is hunar se falak pe bijli zamin pe baran kahan hai jun shoala shakh par gul kidhar hai fasl-e-bahaar shabnam tere hai eajaz-e-turfa-tar se falak pe bijli zamin pe baran karo na dariya pe mai-kashi tum udhar ko aao to main dikhaun sarishk-e-har-nala-o-jigar se falak pe bijli zamin pe baran kidhar ko jaun nikal ke ya-rab ki garm-o-sard-e-zamana mujh ko dikhae hai sham tak sahar se falak pe bijli zamin pe baran wo tegh khinche hue hai sar par main sar jhukae hun ashk-e-rezan dikhaun ai dil tujhe kidhar se falak pe bijli zamin pe baran ghazab se chin-bar-jabin dikhae badan se tapke bhi hai pasina ayan hai yaro nae hunar se falak pe bijli zamin pe baran 'nasir' likkhi hai kya ghazal ye ki dil tadapta hai sun ke jis ko bandhe hai yun kab kisi bashar se falak pe bijli zamin pe baran