sabhi khudaon se teri aman chahti hai ilahi ab ke zamin aasman chahti hai andhere bargah-e-rab se izn pate hain ye raushni hi charaghon ki jaan chahti hai use badan ki haqiqat se ham-kanar karo wo ruh-zadi ghalat imtihan chahti hai main jaanta hun teri baat ban chuki hai kahin magar ye talkh haqiqat guman chahti hai mujhe nigahon ki bhasha nahin samajh aati meri umid tumhaari zaban chahti hai hamein na bagh-e-iram chahiye na jam-e-jam hamari tesha-mizaji chatan chahti hai hazar salon ki pyasi ye dasht ki dewi nawah-e-najd ka ek aur jawan chahti hai