subh kaise hui ghazalon ki raat thi surkh aankh walon ki tirgi ka gala dabaate hue sans ukhadne lagi ujalon ki ruh par jism ki dawai laga baat rakh iltijai chhaalon ki barf pighle to phir safed bahe aarzu thi chanab walon ki ishq-dhuni ramao raqs karo ye riwayat hai dil-shiwalon ki hum moharram-nasib logon par rut utarti nahin gulalon ki