safa almas o gauhar se fuzun hai tere dandan ki kahan tujh lab ke aage qadr-o-qimat lal-o-marjaan ki ajab ki sahiri us man-haran ke chashm-e-fattan ne diya kajal siyahi le ke aankhon se ghazalan ki tujhe ai lala-ru wo husn-e-rangin hai ki gul-ruyan abiri pairahan karte hain teri gard-e-daman ki abas mal mal ke dhota hai tu apne dast-e-nazuk ko nahin jaane ki surkhi hath se khun-e-shahidan ki bahaar aai chaman mein gul khile ai baghban shayad junun ne dhajjiyan gar jo udain phir gareban ki qad-e-mauzun to shamshad-o-sanobar rakhte hain lekin kahan pawen latak ki chaal us sarw-e-khiraman ki na dekhi aankh utha bad-hali-e-ashuftagan zalim banata hi raha tu khush-khumi zulf-e-pareshan ki barhana-pa junun aawara kaun is dasht se guzra ki rangin khun se hai yan nok har khar-e-mughilan ki rakho mat chashm-e-khwab ai dosto 'bedar' se hargiz koi deti hai sone yaad us ru-e-darakhshan ki