tamam rishte usi shakh-e-be-samar se hain talash unhi ko hai ghar ki jo nikle ghar se hain shanakht ki ye kahani bas ek nasl ki hai phir is ke baad fasane idhar udhar se hain abhi khabar nahin nau-waridan-e-hijrat ko kahan se utthe hain baadal kahan pe barse hain qadam uthe nahin malum manzilon ki taraf magar udas hum andesha-e-safar se hain bas aankh khulte hi tabir-e-khwab mil jae ye kis tarah ke taqaze hamein sahar se hain nigah rakhte hain sayyargan ki nabz pe hum aur apne chaaron taraf kitne be-khabar se hain