safar kahne ko jari hai magar azm-e-safar ghaeb ye aisa hai ki jaise ghar se hon diwar-o-dar ghaeb hazaron mushkilen aain wafa ki rah mein mujh par kabhi manzil hui ojhal kabhi rah-e-safar ghaeb ajab manzar ye dekha hai khirad walon ki basti mein yahan sar to salamat the magar fikr-o-nazar ghaeb hasin mausam ne nazren pher lin apne taghaful par hue raftar-e-duniya ke sabab sham-o-sahar ghaeb parindo laut kar aana zara jaldi udanon se na ho jaen kahin aangan se ye budhe shajar ghaeb ye kis ki surkhi-e-rukh sham ke chehre pe utri hai ki jis ke rang mein mil kar hue zakhm-e-jigar ghaeb kami pahle hi thi shayan ahl-e-zarf ki lekin nazar se ho rahe hain aaj kal ahl-e-nazar ghaeb