wo rokta hai mujhe shahr mein nikalne se bhadak uthun na kahin aandhiyon mein jalne se ye tarz-e-talkh-nawai kuchh itni sahl nahin zaban pe aable pad jaen sach ugalne se khala hawai sahaaron se pur nahin hota buland hota hai insan kahin uchhalne se khud apne-ap se poshida rahna na-mumkin nazar badalti nahin aaina badalne se khada hun main kisi girti hui fasil pe kya tawazun aur bigadne laga sambhalne se bade khulus se mangi thi raushni ki dua badha kuchh aur andhera charagh jalne se luta diya jinhen jiti hui raqam ki tarah wo din palat to na aaenge hath milne se chhategi kaise 'muzaffar' siyahi qismat ki nikal to aaega khurshid raat dhalne se