sabz-kheton se umadti raushni taswir ki main ne apni aankh se ek harf-gah tamir ki sun qatar andar qatar ashjar ki sargoshiyan aur kahani padh khizan ne raat jo tahrir ki kachchi qabron par saji khushbu ki bikhri lash par khamushi ne ek nae andaz mein taqrir ki bachpane ki dars-gahon mein purane tat par dil ne hairani ki pahli bargah taskhir ki raushni mein raqs karte khak ke zarraat ne intiha-e-ab-o-gil ki awwalin tafsir ki kohsaron ke saron par baadalon ki pagdiyan ek tamsil-e-numayan aaya-e-tathir ki dhund ke lashkar ka chaaron or pahra tha magar ek diye ne raushni ki raat bhar tashhir ki aaj phir aab-e-muqaddas aankh se hijrat kiya ghar pahunchne mein kisi ne aaj phir takhir ki