yahan jaza-o-saza ka kuchh etibar nahin

yahan jaza-o-saza ka kuchh e'tibar nahin
fareb-e-hadd-e-nazar hai uruj-e-dar nahin

nigah-e-lutf mein gham ka mere shumar nahin
ye e'tibar ba-andaz-e-e'tibar nahin

sukun maut hi anjam-e-iztirab-e-firaq
jise qarar na aae wo be-qarar nahin

khabar nahin ki khile kitne phul gulshan mein
ki aaj jaib-o-gareban mein ek tar nahin

khuda ke nam pe dil ko sipurd-e-ishq kiya
ab is ke baad umid-e-maal-e-kar nahin

do aatisha na sahi dard hi sahi saqi
jo un mein farq kare kuchh wo baada-khwar nahin

ab us ko aa ke bujhae koi to hum jaanen
ye dagh-e-dil hai charagh-e-sar-e-mazar nahin

rahin-e-aish hai khu-karda-e-tamanna hai
wo baada-khwar jo sar-gashta-e-khumar nahin

zamana ghum raha hai meri nigahon mein
mujhe qarar nahin to kahin qarar nahin

na ja na ja kabhi us gulshan-e-tarab mein na ja
junun ka nam jahan mausam-e-bahaar nahin

zamana meri tabahi pe jaan de deta
main khud hi apni tabahi ka sogwar nahin

karishma-shazi-e-nairang-e-husn kya kahiye
hazaron ahd hain aur koi ustuwar nahin

shab-e-firaq mein andaz-e-hashr hai 'shaukat'
ab is ke baad qayamat ka intizar nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close