saf-e-hayat se jab koi tishna-kaam aaya nizam-e-saqi-e-mahfil pe ittiham aaya mila bhi to wo gham-e-zindagi ke kaam aaya mere liye har ek aansu mein ek jam aaya lab-e-kalim pe aaya na phir sawal koi hazar barq-e-pasheman ka phir payam aaya adu ko bakhsh diye hum ne kausar-o-tasnim ye kis ke honton ko chhu kar hamara jam aaya khada hun der se gum zist ke dorahe par jo karwan se chutata hai wo maqam aaya koi musawwir-e-hasti ka shahkar bhi hai abhi talak to har ek naqsh-e-na-tamam aaya harif ban ke jahan jab mita saka na hamein to dost ban ke mohabbat ka le ke nam aaya mujhe mita ke wo thodi hi der khush se rahe phir us ke baad mohabbat ka intiqam aaya khusha wo saat-e-firdaus jab ki pahle pahal kisi ke lab pe zara ruk ke apna nam aaya rah-e-hayat hai suni maqam-e-ishq ke baad yahan talak to har ek dil subuk-khiram aaya hansun ki roun main apni hayat par 'mulla' hawa se bach ke sahar tak charagh-e-sham aaya