sada-e-shauq sukut-e-labi se sharminda darun ka shor meri khamushi se sharminda kaho to aaj zara sa sanwar lun khud ko ki aaine hain meri sadgi se sharminda ajib dohri izzat ka samna hai inhen koi kisi se to koi kisi se sharminda hamare hath jo dastak na de sake dar par hamare hath rahe us kaji se sharminda hum apni khak jahan mein udae phirte hain ai shahr-e-yar tumhaari gali se sharminda hum is sadi mein bhi manzil se aashna na hue ye aur baat hai pichhli sadi se sharminda hai mere pas ye luknat-zada zaban 'shahid' ai khush-kalam teri naghmagi se sharminda