shuur-o-fikr se aage nikal bhi sakta hai mera junun hawaon pe chal bhi sakta hai mere guman pe uthao na ungliyan sahab guman yaqin mein yaqinan badal bhi sakta hai pahad apni qadamat pe yun na itraen ubhar gaya koi zarra nigal bhi sakta hai mere labon pe jami barf soch kar chhuna tumhaare jism ka aahan pighal bhi sakta hai koi asa bhi nahin aur hai akela tu amir-e-shahr ka azhdar nigal bhi sakta hai hamare sath jo chalna hai zad-e-rah le lo kathin se mod hain panw phisal bhi sakta hai karo na zid ki kisi shahr ki taraf jaun mere aziz ye dil hai machal bhi sakta hai kar apne sae se raaz-o-niyaz ki baaten bahut udas hai lekin bahal bhi sakta hai bas ek nazar jo karam ki wo us taraf phere qadam bahak jo gaya hai sambhal bhi sakta hai