kabhi jhute sahaare gham mein ras aaya nahin karte ye baadal ud ke aate hain magar saya nahin karte yahi kante to kuchh khuddar hain sehn-e-gulistan mein ki shabnam ke liye daman to phailaya nahin karte wo le len gosha-e-daman mein apne ya falak chun le meri aaankhon mein aansu bar bar aaya nahin karte saliqa jin ko hota hai gham-e-dauran mein jine ka wo yun shishe ko har patthar se takraya nahin karte jo qimat jaante hain gard-e-rah-e-zindagani ki wo thukrai hui duniya ko thukraya nahin karte qadam mai-khana mein rakhna bhi kar-e-pukhta-karan hai jo paimana uthate hain wo tharraya nahin karte 'nushur' ahl-e-zamana baat puchho to larazte hain wo shaer hain jo haq kahne se katraya nahin karte