sadme yun ghair par nahin aate tumhein jaur is qadar nahin aate phir tasalli ki kaun si surat khwab mein bhi nazar nahin aate aate hain jab ki na-umid hon hum kabhi wo wade par nahin aate roz ke intizar ne mara saf kah do agar nahin aate nahin malum is ka kya bais roz kahte hain par nahin aate aur tum kis ke ghar nahin jate ek mere hi ghar nahin aate ab to hai qahr aap ka jaana nahin aate agar nahin aate sach hai hile mujhi ko aate hain aur tumhein kis qadar nahin aate un ko main is tarah bhulaun 'nizam' yaad kis baat par nahin aate