sar-e-mahshar yahi puchhunga khuda se pahle tu ne roka bhi tha bande ko khata se pahle ashk aankhon mein hain honton pe buka se pahle qafila gham ka chala bang-e-dara se pahle han yahi dil jo kisi ka hai ab aaina-e-husn waraq-e-sada tha ulfat ki jila se pahle ibtida hi se na de zist mujhe dars is ka aur bhi bab to hain bab-e-raza se pahle main gira khak pe lekin kabhi tum ne socha mujh pe kya bit gai laghzish-e-pa se pahle ashk aate to the lekin ye chamak aur tadap in mein kab thi gham-e-ulfat ki jila se pahle dar-e-mai-khana se aati hai sada-e-saqi aaj sairab kiye jaenge pyase pahle raaz-e-mai-noshi-e-'mulla' hua ifsha warna samjha jata tha wali laghzish-e-pa se pahle