shabnam to bagh mein hai na yun chashm-e-tar ki hum ghuncha bhi is qadar hai na khuni jigar ki hum jun aaftab us mah-e-be-mahr ke liye aise phire na koi phira dar-ba-dar ki hum kahta hai nala aah se dekhen to kaun jald us shokh sang-dil mein kare tu hai ghar ki hum hai har dur-e-sukhan pe saza-war gosh-e-yar moti sadaf rakhe hai par aise guhar ki hum munh par se shab naqab utha yar ne kaha raushan-jamal dekh tu ab hai qamar ki hum zar kya hai mal tujh pe karen naqd-e-jaan nisar itna to aur kaun hai ai sim-bar ki hum ta-zist hum buton ke rahe sath misl-e-zulf yun umr kis ne ki hai jahan mein basar ki hum ghussa ho kis pe aae ho jo tewari chadha laeq itab ke nahin koi magar ki hum 'bedar' shart hai na palak se palak lage dekhen to raat ja ke hai ya tu sahar ki hum