safar ba-khair ho anjam tak pahunch jaen khuda kare ye qadam sham tak pahunch jaen sukhan ka sara safar is liye kiya main ne ki mere hont tere nam tak pahunch jaen nae junun ki aziyyat bhi mohtaram hai mujhe guzishta zakhm to aaram tak pahunch jaen makan-e-husn se bahar bhi dekh aisa na ho sharif log dar-o-baam tak pahunch jaen khabar nahin meri aawaz phir sune koi jinhen pahunchna hai kohram tak pahunch jaen hasin raat ka mahtab dub jaane se qabl sitare gardish-e-ayyam tak pahunch jaen khuda ke bande khuda tak pahunch gae hain 'ali' jo ram wale hain wo ram tak pahunch jaen