umid jis se lagi hai usi ka dhyan nahin lawen pukar rahi hain hawa ke kan nahin bade sukun se zinda hain na-mukammal log kisi ki aankh nahin hai kisi ke kan nahin makan makan mein pade hain karahte budhe hamare shahr ka koi jawan jawan nahin buton ke shahr mein paida kiya gaya hai mujhe kisi mein soch nahin hai kisi mein jaan nahin nigah-e-ishq mein ahdaf khud hi aate hain ye aisa tir hai jis ki koi kaman nahin