tu jab aankhon ke daere mein nahin

tu jab aankhon ke daere mein nahin
raushni phir kisi diye mein nahin

dard hi dard hai nihan is mein
aur kuchh bhi to qahqahe mein nahin

rabt jis se tha zindagi jaisa
ab wahi mere rabte mein nahin

hum ko kaghaz pe wo utarega
hum to wo hain jo hashiye mein nahin

shakl se jaanta hun main lekin
aap ka nam hafize mein nahin

dekh kar pur-fitan shabab tera
kaun aaega waswase mein nahin

hun wahan par ki ham-safar to kuja
ghair bhi koi raste mein nahin

main jo hun tum wahi utaro bas
muskuraunga camere mein nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close