safar hua na kabhi khatm bahte pani ka main bund bund samundar bana rawani ka ye kah rahi hai mere barg barg ki khushbu gul-e-shafaq hun main asrar-e-asmani ka hasin honton ki jumbish se khil uthe chehre faza mein phail gaya rang khush-bayani ka zaban-e-waqt ne dohra ke kar diya maqbul fasana meri nazar aur teri jawani ka kahe baghair hi har baat wo samajhta hai ajab shuur hai us mein mizaj-dani ka ghutan ka nam na ho imbisat ho jis mein karen talash wo mahaul zindagani ka zaban-e-sher se har haal kah chala hun magar gila hai phir bhi unhen meri be-zabani ka zaban-e-waqt pe hai jis ka lahja-e-awaz wo shakhs hi to hai hero meri kahani ka hayat-o-maut ki manzil se bhi guzar kar 'saz' hua na khatm safar ruh ki rawani ka