sham ke dhalte suraj ne ye baat mujhe samjhai hai tariki mein dekh sakun to aankhon mein binai hai ehsasat ki tah tak jaana kitna mushkil hota hai zehn-o-dil mein jitna utro utni hi gahrai hai rishte-nate bahar se to jism ko ghere baithe hain ruh ke andar jhank ke dekho milon tak tanhai hai lafzon ne hi nashtar ban ke dil ko gahre zakhm diye lafzon ne hi zakhm-e-dil ko thandak bhi pahunchai hai pith pe karta war to shayad mein sadme se mar jata main to khush hun main ne us se chot jigar pe khai hai kamron ke batware mein ek kamra zaid jaane do lekin ye ehsas bacha lo apna hi to bhai hai dip jala kar duniya wale is tili ko bhul gae lekin sach hai dipak raushan karti diya-salai hai majzubon ke khel samajhna sab ke bas ki baat nahin pahle zakhm udhed ke jaana phir us ki turpai hai raaten apni raushan kar lo ashkon se 'shayan' abhi waqt se pahle apne safar ki tayyari danai hai