sarab jaan ke roya ki be-sabab to nahin nazar ke samne sahra-e-kam-talab to nahin darun-e-jaan hai bas ek bazgasht-e-ah-o-fughan nasib sang-sifat naghma-o-tarab to nahin gulab-shakl shagafon ki dil-dahi hai abas nasim-e-subh ye hangam-e-shab-do-shab to nahin adawaton ka karam hai ki aaj zinda hun wagarna shauq mein jina yun jaan-ba-lab to nahin sahar-taraaz si lagne lagi hai sham-e-gham charagh-e-dagh-e-tamanna ho kuchh ajab to nahin ba-juz qayas yaqin ki asas thi bhi kya so kuchh guman hi haqiqat hain aaj sab to nahin na dhund hum ko ki hum hain sada-e-gum-gashta faqat sukut hain nala nahin shaghab to nahin le thik-thak si main ne bhi kat di duniya ye aur baat ki jine ka koi dhab to nahin mujhe bhi yaron ne tujh se juda nahin samjha mere mizaj pe mana ki teri chhab to nahin buton ke ishq mein momin ki kat gai to kya miyan ye hind hai faras nahin arab to nahin sitam ke samne sar ka jhukana na-mumkin kabhi ki baat thi ab chhodiye ki ab to nahin samajhiye yun to mujhe apna banda-e-be-dam ana pe harf jo aane lage to tab to nahin mere niwalon ko apni ata na gardanen huzur shah hain han manta hun rab to nahin ye kaun hai jo giran-bar hai samaat par khabar to le kahin 'tanwir'-e-be-adab to nahin khuda ki mar hai 'wasfi' sanbhal sake to sanbhal hai ja-e-shukr abhi manzil-e-ghazab to nahin