safar ke bich wo bola ki apne ghar jaun andheri raat mein tanha main ab kidhar jaun mujhe bigad diya hai mere hi logon ne koi khulus se chahe to main sanwar jaun meri judai mein guzri hai zindagi kaisi ye ji mein aai hai is bar puchh kar jaun bata tu kufr ka fatwa lagaega mujh par khuda main manun tujhe aur phir mukar jaun tu sabz jhil ke pani mein dhundta hi rahe main chand ok mein bhar lun kamal kar jaun bala ka khauf thamaya hai aainon ne mujhe main aks apna jo dekhun to jaise dar jaun