yun to zahmat se likhe jate hain hum khair misron mein kahan aate hain hum zehn mein chikhen rakha karte hain par us ki khamoshi se ghabraate hai hum ab karen jhagda munasib hi nahin ishq mein budhe hue jate hain hum hosh mein aate hi ho jate hain chup aur be-hoshi mein chillate hain hum kis tarah ki wusaten rakhta hai tu kis tarah tujh mein sama pate hain hum apne aangan mein parinde dekh kar jism ki tahni se ud jate hain hum dukh ginati hai wo ladki ishq mein phir use kuchh der bahlate hain hum dekhna hai kis kahani ke liye kaun sa kirdar apnate hain hum