samne ek be-rahm haqiqat nangi ho kar nachti hai us ki aankhon se ab meri maut ki khwahish jhankti hai jism ka jadu is duniya mein sar chadh kar jab bolta hai ruh meri sharminda ho kar apna chehra dhanpti hai us ki jholi mein sab khote sikke dale jaenge jaanti hai ye andhi bhikaran phir bhi din bhar mangti hai mera khun piya to us ko taza lahu ki chat lagi ab wo nagin apni zaban se apna lahu bhi chatti hai ab ki bar ai buzdil qismat khul kar mere samne aa kyun ek dhachka roz laga kar baqi kal par talti hai mazi ki turbat se nikal aati hai kisi ki yaad ki lash meri soch meri dushman hai roz musibat dalti hai sahra ka baadal do bunden barsa kar ud jata hai pyasi banjar banjh zamin kuchh aur ziyaada hanpti hai ab tak soi hui thi wo aasaish ke gahware mein angdai si le kar 'shabnam' aaj ana kyun jagti hai