safar kitna kaThin hai par nibha kar main dikha dunga

safar kitna kathin hai par nibha kar main dikha dunga
ghazal jo likh raha hun main wo ja ja kar dikha dunga

kathin to lag raha hai ab irada hai jahan par bhi
nazar aaen jo raste par sabhi kante hata dunga

suhana sa nagar hai wo mujhe jaana zaruri hai
yahi hai ab meri koshish sabhi wade nibha dunga

musalsal jo aqidat se dua mein hai mila sab kuchh
nahin jo kuchh mila ab tak wahan ja kar bata dunga

safar jari zamane mein hua jis ke liye hai wo
milegi jab mujhe manzil khushi se muskura dunga

ghazal likhni ghazal padhni samajh li kuchh 'jamali' ne
sikhai hai mujhe jis ne use har pal dua dunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close