tamanna dil mein ghar karti bahut hai hawa is dasht mein chalti bahut hai jamana rang is duniya se sikhe ki hai to kuchh nahin banti bahut hai use ek pal kabhi rahne na dena phaphundi qalb par jamti bahut hai ki sari umr angare chune hain hatheli hath ki jalti bahut hai 'suhail-ahmad' samajh kar sarf karna zara si zindagi lagti bahut hai