zaban rakhta hun lekin chup khada hun main aawazon ke ban mein ghir gaya hun mere ghar ka daricha puchhta hai main sara din kahan phirta raha hun mujhe mere siwa sab log samjhen main apne aap se kam bolta hun sitaron se hasad ki intiha hai main qabron par charaghan kar raha hun sambhal kar ab hawaon se ulajhna main tujh se pesh-tar bujhne laga hun meri qurbat se kyun khaif hai duniya samundar hun main khud mein gunjta hun mujhe kab tak sametega wo 'mohsin' main andar se bahut tuta hua hun