us ek ummid ko to rahat-e-safar na samajh hai raste mein kahin saya-e-shajar na samajh jo samne na raha us ka aks aankh mein hai ab itna khali bhi ye kasa-e-nazar na samajh jo ruh mein na utar jae wo jamal nahin jo dil-gudaz na kar de use hunar na samajh nazar parakh dil-e-majruh nashtaron pe na ja har aane wale ko tu apna chaaragar na samajh jo fasl-e-gul ki tamanna mein ho gae barbaad wo ba-murad hain gham un ka be-samar na samajh har ek ghar mein na jab tak charagh jal jae 'kamal' raushan-o-abaad apna ghar na samajh