sahar aur sham se kuchh yun guzarta ja raha hun main ki jita ja raha hun aur marta ja raha hun main tamanna-e-muhaal-e-dil ko juzw-e-zindagi kar ke fasana zist ka pechida karta ja raha hun main gul-e-rangin ye kahta hai ki khilna husn khona hai magar ghuncha samajhta hai nikharta ja raha hun main mera dil bhi ajab ek saghar-e-zauq-e-tamanna hai ki hai khali ka khali aur bharta ja raha hun main kahan tak irtibaat-e-jaan-o-jaanan ka talluq hai sanwarte ja rahe hain wo sanwarta ja raha hun main jawani ja rahi hai aur main mahw-e-tamasha hun udi jati hai manzil aur thaharta ja raha hun main bahut uncha uda lekin ab is auj-e-takhayyul se kisi duniya-e-rangin mein utarta ja raha hun main 'nushur' aakhir kahan tak fikr-e-duniya dil dukhaegi gham-e-hasti ko zauq-e-sher karta ja raha hun main