sahar mein gum the zamin aasman KHushbu ke

sahar mein gum the zamin aasman khushbu ke
wo kar raha tha fazael bayan khushbu ke

hawa-e-shahr-e-mohabbat mujhe wahin le chal
thahar gae hain jahan karwan khushbu ke

khushi se jis ki rifaqat mein khil utha tha dil
hum aaj tak hain usi mehrban khushbu ke

qadam qadam pe bahaaren hain ham-safar meri
hain sar pe saya-fagan saeban khushbu ke

hawa ke rang ke baadal ke hain dar-o-diwar
bane hue hain faza mein makan khushbu ke

lahu hamara amanat hasin gulabon ki
khayal apne sabhi tarjuman khushbu ke

jo itr-bez banaya hai apni mahfil ko
to lafz dhundiye shayan-e-shan khushbu ke

ek aur padhiye mahakti hui ghazal 'sima'
hain ahl-e-bazm sabhi qadr-dan khushbu ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close