sahib-e-jurat-e-izhaar nahin hai koi waqt se barsar-e-paikar nahin hai koi hans raha hun main sar-e-bazm-e-hawadis ki jahan muskurane pe bhi tayyar nahin hai koi mere har sher mein dhadkan hai dil-e-alam ki ye hadis-e-lab-o-rukhsar nahin hai koi mang kya mangti hai fasl-e-bahaaran hum se lakh is dasht mein gulzar nahin hai koi hai badi raunaq-e-bazar-e-hawas shahr-ba-shahr jins-e-ulfat ka kharidar nahin hai koi aaj khairaat-e-masarrat ke sabhi talib hain neamat-e-gham ka talabgar nahin hai koi baat jo kah ke sar-e-bazm palat jate hain un ki taqrir ka mear nahin hai koi kis ko rudad-e-gham-e-zist sunaun ja kar baat karne pe bhi tayyar nahin hai koi khwab-e-farda mein use dekh raha hun main 'kamal' jis qafas mein dar-o-diwar nahin hai koi