tahrik-e-gham-o-alam to hai taskin-e-dil-e-nakaam nahin kahne ko to duniya hai lekin duniya mein kahin aaram nahin rudad-e-mohabbat ke sadqe rudad-e-mohabbat kya kahiye ye aisa fasana hai jis ka aaghaz to hai anjam nahin tafsir-e-hadis-e-ulfat ko na-waqif-e-ulfat kya jaane ye bite dinon ki baaten hain afsana-e-subh-o-sham nahin itna to thahar ai girya-e-gham kar lene de mashq-e-zabt-e-alam umde hue aansu pi jaana har ek ke bas ka kaam nahin kyon pa-e-nazar mein laghzish hai kyon dast-e-talab tharraate hain rindon ko ye kaisa aalam hai gardish mein abhi to jam nahin hum ahl-e-mohabbat ke dil par malum nahin kya bit gai aankhon mein to aansu milte hain honton pe hansi ka nam nahin jo un ki nazar ne bakhsha hai tum kya samjho tum kya jaano us dard ko ai duniya walo jis dard ki lazzat aam nahin wo jam ki jis ke pine se rindon ka muqaddar jag uthe saqi ki qasam maikhane mein aisa to koi bhi jam nahin qismat ka kuchh is mein dakhl nahin sirat hai 'kamal' apni apni main lakh pareshan hun lekin khud-dari par ilzam nahin